Height Badhane Ki Exercise – कद बढ़ाने के 5 आसान तरीके

 


Height Badhane Ki Exercise


Height Badhane Ki Exercise – Aaj kal ke log apni sehat ko lekar bahot pareshan hai koi apne motape se to koi apne patlepan se to yahin koi apni chhoti height ke karan bhi bahot zada pareshan hai logo ko apni chhoti height ke karan naye – naye naamo se bulaya jata hai jo ki inhe bilkul bhi pasand nahi hota hai to chhoti height wale log bhi ab pareshan na ho kyunki aaj hum aap logo ko batane ja rahe hai ki kaise sirf hamri batayi gayi exercises ke dwara aap sirf kuch hi dino m lamabe ho sakte hain aur phir aap bhi apni personality aur height se logo ko attractive lag sakte hain, agar aapne hamaari batayai hui exercise ko sahi tarike se kiya to aapko kahin bhi sharminda nahi hona padega.


In exercises aap na sirf lambe hoyenge balki aap physically bhi fit rahenge aur aapki bhi ek alag hi personality ban jayegi aur sirf kuch hi dino me aapko farq dikhna shuru ho jayega, aur har jagah par aapko kaam mil sakta hai jaise aapko police ki job mil sakti hai, aur aap lambi height hone se modeling bhi kar sakte hain, aur lambayi badhne ki age bas 18 saal tak hi hoti hai lekin agar aap hamari batayi hui exercises karenge to aap 18 saal ke hone ke baat bhi apni height badha sakte hai.


Height Badhane Ki Exercise in Hindi


Aaj hum apni is website per kuch aisi tips hindi me share karna chahte jisse aap apni height 18 saal ke bad bhi badi hi asaani se badha sakte hain lekin shart hai ki aapko ye exercices sahi tarike se aur sahi time per karni hogi aur ek bhi din ka gap nahi lena hoga agar aap aisa hi karenge to aapki height jaldi se badhni shuru ho jayegi aur kuch hi dino me lambe dikhne lagenge aur phir aap ko koi bhi naye naamo se nahi bulayega aur aapko kisi bhi pareshani ka sama nahi karna padega aur aap koi bhi kaam bade hi asaani se kar sakenge, bas aapko hamari batayi huyi exercises ko apni daily life me shamil karna hoga. To aaiye jante hain Height Badhane Ki Exercise in Hindi:


#1. Tairna (Swimming)


Height badhane ke liye swimming bhi ek tarah ki bahot hi asaan exercise hoti hai swimming karne se hamari body me khinchaon hota hai aur khinchaon ki wajah se hamara shareer badhna shuru kar deta hai jisse ki hum lambe hona shuru ho jate hain aur ye bahot jaldi height badhane ka tarika hai.


#2. Daudna (Running)


Daudna bhi ek zaroori hissa hota hai height badhane ka jis tarah se swimming karne se hamari body ki stretching hoti hai usi tarah se daudn se bhi hamari body me stretching hoti hai aur hum tezi se badhna shuru kar dete hai achhi aur lambi height ke liye hame jitni lambi ho sake utni lambi doori tak daud lagani chahiye chhoti daud lagane se kuch fayeda nahi hoga hamara.


#3. Rod Per Latakna (Hanging On Rod)


Rod ya kisi tree ki tehni per bhi latakne se hamari body me stretching hogi aur jitni stretching hogi utna hi hamari body ko lamba hone me help milegi, latakne se hamare leg, chest, aur pet ki muscles ki achhi exercise hoti hai, aur ye hamare haatho ki muscles ke liye bhi kaafi achha hota hai to agar aapko apni achhi aur lambi height chahiye to aap bhi latakna shuru kar dijiye.


#4. Koodna (Jumping)


Koodne se hamare poore badan ki stretching ho jati hai aur hamar lambayi badhni shuru ho jati hai ye to aur exercises se asaan bhi hoti hai  aur isse stretching bhi bahot zyada hoti hai aur jitni zyada stretching hogihamari lambayi ke liye utna hi zyada achha hoga.


#5. Bhujangasan (Cobra Pose)


Bhujang asan karne ke liye aap ko kisi khuli jagah par jana hoga jaise ki koi park ya aapko chhat par jana hoga kyunki ye ek khuli jagah aur taazi hawah per karne kin  exercise hoti hai is exercise me aapko ek chatayi per ulta lait ker ape haathon ke bal apne mu ko upar karte hue apni kamar tak uthna hota hai bas isse bhi aapke badan ki kaafi stretching hoti hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post