Wazan Ghatane ke Gharelu Upay – 7 दिन में 5 किलो कम करें

Kam Umar mein Baal Jhadna Rokne ke Upay | कम उम्र में बाल झाड़ना रोकने के उपाय


Ganjapan ajj ke dino mai ek bahut bari samasya ke rup mai ubhar kar arahi hai. Ajj hum apko batayenge ki iss ganjeypan se chutkara kaise paya jaye aur Kam Umar mein Baal Jhadna kaise roka jaye. Ajj ki pidhi mai app dekh hi rahey honge ki sirf bujurg insan hi nehi, balki bacche aur jawani mai kadam rakhne waley bhi is ganjeypan ka shikar hai. Kam umar mai baal ka jharna yeh sanket dilata hai ki app ke poshon mai kami reh gayi hai. Ajj ke zamane mai har koi ghar ka khana chor bahar ke khane pe nirbhar rehta hai zisse hota ye hai ki app chah kar bhi apne poshon mai kami chor rahein hein. Jo hart waqt kam se bahar rehte hai athwa school college mai padne waley chatra canteen ke upar nirbharshil rehte hai .


Kam Umar mein Baal Jhadna yeh sandesh lata hai ki apko apne poshan ka dyan sahi se rakhna chahiye , Apke sharir jo postic khane ki zaurat hai apko wo pradan karna chahiye. Bhale hi app ghar ka khana na kha payein parantu app bahar ka khana vi itna na khayein ki apki stiti vi kam umar mein baal jhadne wali ho jaye. Niche hum apko batayenge Kam Umar mein Baal Jhadna Rokne ke Upay .


Kam Umar mein Baal Jhadna Rokne ke postic aahar (important elements to stop hairfall )


1) जिंक ( Zinc ) – zinc sehat ko sahi dhang se banaye rakhta hai aur apke poshon ka ek bahut hi mehetwa purn hissa hai. Zinc ka sevan apko Kam Umar mein Baal Jhadna se mukti pradan karega. Iske liye apko Alu , Bengan ,Strawberry aur Keley ka Sevan karna avashak hai.


2) कॉपर ( Copper )- Copper ka sevan v sevan apke sarir ke rakt prath ko sahi rakhta hai zisse apka Kam Umar mein Baal Jhadna kam ho jata hai. Copper apke rakt prath ko mazbut karke apke balon ko shakti pradan karta hai. copper ka poshon paney ke liye app soyabeen aur wallnut ka sevan karein.


3) आयरन / ( Iron )- Loha tatwa yani Iron apke balon k jaron ko shakt karta hai aur poshon pradan karta hai. Jisse apke balon ka jharna kam ho jata hai aur app ek normal jindagi ka pravahan kar patey hai. Iron k tatwa paney k liye app gajar,palak,matar aur kadi ka sevan karein.


4) सिलिका ( Silica )- Silica balon mai shaine lata hai , apke balon ki khubsurti banaye rakhta hai silica ke tawta. Jawani ke umar mai balon ka khubsurat hona bahut maine rakhta hai aur isi wajah se silica ka sevan zaruri ban jata hai.Silica ke tatwa hasil karne ke liye app Chawal aur Aam ka sevan karein.


Kam Umar mein Baal Jhadna aur kin upayo se kam karein ( More ways to stop hairfall )


1) शहद और दालचीनी ( Honey and Cinnamon ) –  Ek Chamcha shehed aur ek chacha dalchini ke powder ko katore mai lekar aur usme tel milakar paste tayar karein is lep ko nahane ke 15-20 mint praschat apne balon mai lagaye aur nahane se pehle garam pani se apne balon ko dho len. Kuch din is uapaye ko lagatar ajmaye aur iske fayeda ka hissa baney.


2) सरसों का तेल और मेहँदी के पत्ते ( Mustard Oil or Mehndi Leaves ) –  aap kuch matra mai sarso ka tel len aur usme kuch mehendi ke patto ko dal le aur usey garam karein jab aapko lagey ki pattey kalen ho chukei hein tab unko thanda karna shuru karein aur apne balon par lagaye . kuch dino mai app uska asar dekhna shuru karenge .


3) केला और निम्बू ( Banana and Lemon ) – Nimbu ke ras mai keley ka paste milaye aur dekhiye kaise kuch hi dino mai ap mehsus karenge ki apke bal jharna band honey laga hai.


4) निम्बू और प्याज ( Lemon and Onion ) –  Salon se iss taknik ko istemal kiya ja raha hai , Agar apko lagta hai ki apke sier k kisi hisse se bal acanak gayab hona shuru ho gaya hein toh app nimbu ya pyaz ko us jagah par ghisein. Aisa karne se apka bal jhadna kam ho jayega .


5) अनार, प्याज और धनिया ( Pomegranate, Onion and Coriander ) –  In tinoh chizo ko app alag alag istemal kar saktey hein. Jaise ki dhaniya ka paste banakar app apne sir ke us jagah lagaye jahah  apke bal gayab honey lagein ho. Waisa hi ap app pyaz aur aanar k sath v kar sakte hai .

Post a Comment

Previous Post Next Post